Kanz e Aza

Taate Mabood Be Hubbe

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mahir Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

taa'ate mabood be hubbe ali achi nahi

ho haram mein bhi to aisi bandagi achi nahi


us imamat ke jo doshe mustafa par be khuda

jo bahana dhoonde wo paighambari achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..


dekh kar abbas ko bhaage ye kehte lashkari

dekho saahil par nazar abbas ki achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..


qatl e marhab se hamara ye aqeeda ho gaya

dushmano ke waaste naade ali achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..


baab e hyder par na utre to sitaara kya kare

baab e hyder ke siwa deodi koi achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..


zikre hyder sunke wo tadpa na to phir kya kare

zakhm gehra ho to beshak roshni achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..


qarya qarya phir rahe hai jo aqeede bechte

unse kehdo deen mein saudagari achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..


zikre hyder sun ameer e shaam ki baatein na kar

maujuze ke saamne jadugari achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..


madhe hyder kijiye ya karbala par boliye

jo baraye naam ho wo zaakiri achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..


ay meri aankhon ki badli khoob ghir ghir kar baras

majlis e sarwar mein ashkon ki kami achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..


mustafa ke noor ki baaradari ke ma'siwa

do jahan my ek bhi baaradari achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..


aarzoo hai meri mahir umr ro kar kaat doo

yaad e sarwar se khushi ki zindagi achi nahi

taa'ate mabood be hubbe..