ye kaisa hai shor e girya hai
kaisa matam hai kaisa nauha
ye kiska taboot uth raha hai
jo log aansu baha rahe hai
kaha ye ekkisween ne ro kar
imam dunya se jaa rahe hai
ye kiska taboot uth raha hai
jo log aansu baha rahe hai
udaas kufe ki masjiden hai
har sar barehna har ek jama’at
hawayein sar ko patak rahi hai
sitaare nauha suna rahe hai
ye kiska taboot...
tamaam bewayein hai pareshan
yateem bache hai chaak daaman
khabar jo rakhte hai bekason ki
wo aaj kufe se jaa rahe hai
ye kiska taboot...
hai betiyon ki ajab ye haalat
padar se hoti hai aaj ruqsat
hassan hai khamosh sar jhukaye
hussain aansu baha rahe hai
ye kiska taboot...
musalla khoon e ali may tar hai
khamosh mimbar udaas ghar hai
hai rozadaron pa ek qayamat
lahoo ke aansu baha rahe hai
ye kiska taboot...
hai qabr e zehra pe ek udaasi
nabi ka rauza laraz raha hai
lagi hai sar par ali ke zarbat
tamaam khoon may naha rahe hai
ye kiska taboot...
namaziyon may hai beqarari
utha saron se ali ka saaya
hai tees paaron may shor e girya
saheefein nauha suna rahe hai
ye kiska taboot...
tamaam paighambarane bar haq
ali ke rone ko aaye kufa
ali ka taboot utha raha hai
tamaam kaandha laga rahe hai
ye kiska taboot...
raza hai shehr e khamosh jannat
utar rahi hai ali ki mayyat
hassan to talqeen pad rahe hai
hussain shaana hila rahe hai
ye kiska taboot...