Kanz e Aza

Zehra Tera Gulshan

A noha written by Raza Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

gulshan e zahra gulshan e zahra

fatema zahra


zahra tere gulshan ka har phool niraala hai

har phool ne sar de ke islam ko paala hai


afsos musalmano ashoor ko maqtal may

quran ke paaron ko naizo pe uchaala hai

har phool ne sar deke islam ko paala hai

zahra tere gulshan ka...


ay maut kabhi tu ne zainab se nahi poocha

athara baras kaise is sher ko paala hai

har phool ne sar deke islam ko paala hai

zahra tere gulshan ka...


bas qabr hi zahra ki doobi hai andhero may

haalan ke madine may har simt ujaala hai

har phool ne sar deke islam ko paala hai

zahra tere gulshan ka...


sarkar e mohamed ho ausat ho ke aakhir ho

zahra ke charaagon se har simt ujaala hai

har phool ne sar deke islam ko paala hai

zahra tere gulshan ka...