Kanz e Aza

Zere Khanjar Bhi

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

zere khanjar bhi sajda kiya kaun hai

juz tere ay shahe karbala kaun hai


kashtiye deen se takrake mauje bala

fikr mein pad gayi na khuda kaun hai

zere khanjar bhi…


wo na manzil pe pahunche jo poocha kiye

jisne chode hai ye naqshe pa kaun hai

zere khanjar bhi…


gardishe waqt kya tu nahi jaanti

hum ghaeerbon ka mushkil kusha kaun hai

zere khanjar bhi…


kiska kirdaar shabbir ko mil gaya

ye pasay pardaye karbala kaun hai

zere khanjar bhi…


yaad aaye jo abbas sheh ne kaha

kisko doo ab mai daade wafa kaun hai

zere khanjar bhi…


sheh ka kehna ye zainab se jaate hai hum

ab hamare siwa doosra kaun hai

zere khanjar bhi…


jisko gham ho shahe karbala ka urooj

wo nahi hai to gham aashna kaun hai

zere khanjar bhi…