Kanz e Aza

Zikre Sheh Karke

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

zikre sheh karke muhibbon ko rulaya maine

apna ghar mujraee jannat may banaya maine


sheh ne farmaya karunga na gila ummat ka

pani do roz na paaya to na paaya maine

zikre sheh karke...


sheh ne farmaya mere bhai ke baazu kaate

is pa bhi haath na ummat pa uthaya maine

zikre sheh karke...


maara akbar ko to kehta tha yehi ibne numair

aj tasveer e mohamed ko mitaya maine

zikre sheh karke...


sheh ne qasid se kaha beti ko kya khat likhta

aake yan ek ghadi chain na paaya maine

zikre sheh karke...


kahiyo sughra se ke mushkil hai watan may aana

ab to bibi is jangal ko basaya maine

zikre sheh karke...