mushkil mein sahara ya hussain
doobon ko kanara ya hussain
nabiyon ne pukara ya hussain
zinda dilon ki hai sada
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
kehti hai ye karbobala rutba hai mera yun juda
rehte hai yan aaqa hussain
ya hussain ya hussain...
nana nabi baba ali maadar hai jiski fatema
ek bhai hai maula hassan aur doosra hai bawafa
tere hi dam se hi bacha islam ki tu hai baqa
ya hussain ya hussain...
karrar hai jarrar hai kya khoob tera waar hai
ye keh gaye hai mustafa jannat ka tu sardar hai
jannat ho jisko dekhni wo dekhle rauza tera
ya hussain ya hussain...
tu naatiq e quran hai tu fatema ki jaan hai
teri sana karta hai rab kya khoob teri shaan hai
jis se bhi tu raazi hua bas us se raazi hai khuda
ya hussain ya hussain...
cheh maah ka wo laadla maqtal mein is tarha lada
saara hi lashkar darr gaya asghar ne wo hamla kiya
abbas bole marhaba ibne shahe karbobala
ya hussain ya hussain...
bole ye zehra se nabi ek qaum aisi aayegi
qarya ba qarya har gali shabbir ko wo royegi
karte hai jo majlis bapa wo sab hai zehra ki dua
ya hussain ya hussain...
phir aaya mushkil marhala beti ko karna tha wida
samjhate hai shabbir ye hum howenge tum se juda
rona nahi tum meri jaan jab shimr cheenega rida
ya hussain ya hussain...
aankhon se hai aansu rawan hai saamne kadiyal jawan
naade ali padte huwe seene se khaynchi hai sina
yun baap ke haathon pe hi kadiyal jawan ruqsat hua
ya hussain ya hussain...
zakhmi badan sookha gala aur koi na yawar raha
allah hi jaane kis tarha shabbir ladta hi raha
sattar qadam pe zainab thi aur kat'ta tha bhai ka gala
ya hussain ya hussain...
hai bekafan laasha tera sajjad hai bebas khada
manzar ye dekhe kis tarha karta hai rab se ye dua
ye din kisi par aaye na mere khuda mere khuda
ya hussain ya hussain...
rota rahega ye jahan gham mein tere shaahe zaman
kehdo hassan yazdan se ye jitne bhi hai ye nauhakhwan
is ki tijaarat na kare ye zikr hai mazloom ka
ya hussain ya hussain...