Kanz e Aza

Zuljanah

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Shanawar Makanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

pyara hamay hai jaan se maula ka zuljanah

kehte hai sab ye shaan se maula ka zuljanah


taqte hawa hoo mai to suleiman mera sawaar

hai zeen meri rehl to quran mera sawaar

kehta ye kul jahan se maula ka zuljanah

pyara hamay hai jaan se...


kuchle kahin badan kahin pamaal sar kiye

aada ko raundh raundh ke sum khoon may tar kiye

baitha na itmenaan se maula ka zuljanah

pyara hamay hai jaan se...


aaya hai seena taan ke teeron ke saamne

takraya tan han dasht may maula ke waaste

har zulm ke chataan se maula ka zuljanah

pyara hamay hai jaan se...


be-misl gar thi taygh to la-saani rahwaar

jaise ke ran may chalti thi maula ki zulfeqar

chalta tha aisi shaan se maula ka zuljanah

pyara hamay hai jaan se...


zaalim koi bhi saamne na us ke tik saka

rehta tha saath saath wo mazloom ke sada

guzra har imtehan se maula ka zuljanah

pyara hamay hai jaan se...


poocha jo mehlekha ne mere baba hai kahan

sar ta jhuka thay aankh se aansu rawan dawan

kehta bhi kya zaban se maula ka zuljanah

pyara hamay hai jaan se...


teeron se zakhm khaata raha aspe bawafa

lekin wo sheh ko chod ke aage nahi bada

teeron ke darmiyan se maula ka zuljanah

pyara hamay hai jaan se...


farshe zameen pe zeen se ran may wo jab giray

lag jaye koi teer na maula hussain ke

ye dekhta tha dyaan se maula ka zuljanah

pyara hamay hai jaan se...


aamir sawaar doshe nabi ka hai raahwaar

raf raf ki tarha kyun na shanawar ho ba-waqar

utra hai aasman se maula ka zuljanah

pyara hamay hai jaan se...