Kanz e Aza

Aa Rahi Hai Ye Sada

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Gulzaar Jafri. Lyrics in Roman Urdu.

aa rahi hai ye sada zainab e dilgeer ki

laash be gor-o-kafan hai dasht mein shabbir ki

aa rahi hai ye....


ab nahi abbas-e-ghazi qasim-o-akbar kahan

haaye ab koi uthaye laash be-takseer ki

aa rahi hai ye....


jiska maatha choom ke is dil ko milta tha karaar

aaj us shabbir ke gardan pe hai khanjar ki dhaar

haye wo cheh maah ka bacha tadapta reh gaya

maa kaleja thaam ke rone lagi hai zaar zaar

aa rahi hai ye....


kardiya quran zaqmi hurmala ke teer ne

jante na thay muasalman azmate baysheer ki

aa rahi hai ye....


aagayi ummat nabi ki aag lekar haat mein

laaj rakh lena khudaya chadare tatheer ki

aa rahi hai ye....


karbala mein is tarha se ghar luta shabbir ka

zulm ki badli mein parda kho gaya hamsheer ka

ek teer hurmala se zakhm hai kitne azaa ke

maa ka dil sarwar ka baazu aur gala baysheer ka

aa rahi hai ye....


sar diya gulzaar jab islam par shabbir ne

khoon ke khatron ne phir khake shafa akseer ki

aa rahi hai ye....