Kanz e Aza

Karbala Walon ki

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Gulzaar Jafri. Lyrics in Roman Urdu.

karbala walon ki zindan se rehaai ho gayi

turbate bali sakina se judaai ho gayi


is khadar maare tamache hai shimr badkaar ne

hashr tak wo maut baba ki rulaai so gayi

turbate bali sakina se…

karbala walon ki zindan...


momino moo ko chupalo noch daalo sar ke baal

sar barehna dasht mein zahra ki jaayi ho gayi

turbate bali sakina se…

karbala walon ki zindan...


misl phoolon ki chune thay laashon ke tukde hussain

is qadar pamaal zehra ki kameini ho gayi

turbate bali sakina se…

karbala walon ki zindan...


asghare masoom ka wo muskarana maut par

dekh kar sharminda darya ki taraai ho gayi

turbate bali sakina se…

karbala walon ki zindan...


sar kata gulzaar jab mushkil kusha ke laal ka

ta qayamat deen ki mushkil kushaai ho gayi

turbate bali sakina se…

karbala walon ki zindan...