karte hai sab zinda'n me fugha'n waawaila
uth gayi dunya se naadaa'n waawaila
haaye sakina haaye sakina kehti hai sar ko peet ke maa waawaila
beech me hai laashe masoom waawaila
gird machi hai rone ki dhoom waawaila
chaar baras waali ke lie sab, ahle haram hai seena zana waawaila
kurta hai ab tak qoon se laal waawaila
sooje hue hai ab tak gaal waawaila
haaye ghazab ab tak bhi gale par , bachi ke hai rassi ke nashaa'n waawaila
chaar baras ka sin tha abhi waawaila
qaid hui dunya se uthi waawaila
sehti kahan tak ranjo museebat, chote se sin me nanhi si jaa'n waawaila
haath hai ab tak kaano par waawaila
qoon jama hai shaano par waawaila
seh gayi kya kya zulmo sitam , is umr me zaalim ke naadaa'n waawaila