Kanz e Aza

Kehti Rahi Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Sardar. Lyrics in Roman Urdu.

kehti rahi sakina beemar saarban se

hogi rehaai mar ke bhaiya meri zindan se


is kaal kothari mein hai zulm ka andhera

mujhe chod ke na jao dam ghut raha hai mera

asghar ki tarha mai bhi bichdi hoo aaj maa se

kehti rahi sakina...


hai daagh tamachon ke mehshar talak rahenge

bhaiya yateem ho ke kab tak sitam sahenge

masoom poochti thi beemar natawan se

kehti rahi sakina...


durr cheen kar kamina raahon mein keh raha tha

thay kaan mere zakhmi aur khoon beh raha tha

roti ho kyun lipat kar abbas ke nishan se

kehti rahi sakina...


aulaad waale mil ke insaaf khud kare wo

jin betiyon ke baba pardes jaa maray wo

roti nahi bichad kar kya apne baba jaan se

kehti rahi sakina...


baba ko yaad kar ke zindan mein ro rahi hai

seene pe sone waali matti pe so rahi hai

kya jurm ho gaya tha masoom nanhi jaan se

kehti rahi sakina...


sajjad ne janaza zindan se jab uthaya

afsos saath koi hai kalmago na aaya

aisa sulook koi karta nahi mehman se

kehti rahi sakina...


tareekh ke muarrikh insaaf se batayein

masoom ko mili hai kis jurm ki sazayein

sardar poochta hai har ek musalman se

kehti rahi sakina...