abbas meri shimr se chadar to dila do
balwe mein khule sar hoo zara parda bana do
har simt lagi aag mai kis kis ko sambhalun
sajjad ko jalte huwe qaimon mein nikalo
abbas meri shimr se...
paband e rasan shaam ko tayyar khadi hoo
mehmil pe zara aa ke mujhe aap bitha do
abbas meri shimr se...
daaman mein lagi aag na jal jaye sakina
masooma ke daaman ki zara aag bujha do
abbas meri shimr se...
sehme huwe masoomo ko neend aayegi kaise
ek baar zara aa ke inhe aap sula do
abbas meri shimr se...
maa akbar o asghar ki mere saath hai kehti
sughra ko madine mein ye paigham pahuncha do
abbas meri shimr se...
waaqif mai nahi shaam ki raahon se ay bhaiya
ek baar mujhe shaam ka rasta to bata do
abbas meri shimr se...
jo ajre risalat diya ummat ne tere baad
abbas ye zewar mere haathon mein pehna do
abbas meri shimr se...
sardar ko gham tera hai aulaad se pyara
kehta hai shab e roz mere bakth jaga do
abbas meri shimr se...