Kanz e Aza

Al Madad Al Madad

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

al madad al madad ya ali

berida ho ke zainab chali


boli zainab tadap kar ye haye

ghar hamare layeen ne jalaye

bekhata taaziyane lagaye

zulm aada ne is tarha dhaaye

sab ke mushkil kusha sun hamari dua

de ghareebon ko aa kar sahare

gham ke maaron ko aa kar bachale

al madad al madad...


keh rahi hai musibat ki maari

kaisi bigdi hai kismat hamari

be-kajawa mili hai sawari

aur muqaddar mein hai aah o zaari

shaam tak ka safar berida nange sar

shaahe waala hai ab aur na akbar

zulm hi zulm hai har qadam par

al madad al madad...


jis ke dada thay shaahe madina

jis ka takiya tha sarwar ka seena

dar badar hai wo baali sakina

ab to dushwaar hai uska jeena

kis se shikwa karun kisko awaaz dun

koi sunta nahi aah o zaari

aaj bekas hai zainab tumhari

al madad al madad...


haye qaidi banaye gaye hai

dar badar hum phiraye gaye hai

shaam emin aaj laaye gaye hai

koocha o dar sajaye gaye hai

zulmat e shaam mein balwa e aam mein

ghair hai koi apna nahi hai

haye koi sahara nahi hai

al madad al madad...


mera maajaya pyasa sidhara

mar gaya bhai abbas jaisa

maine aulaad ka gham bhi paaya

phir bhi shikwa zaban par na aaya

rasme parda dari mere ghar se chali

berida besahara hoon baba

kaise darbar mai jaaun baba

al madad al madad...


ro azadare sibte payambar

tere seene mein hai yaade sarwar

ungliyan hai teri khoon mein tar

shayar e karbala hai tu gohar

hai ye nuha tera teri dil ki sada

koi bhi gham na hoga tujhe ab

teri bakshish ki zaamin hai zainab

al madad al madad...