ashoor ko jalte qaimon may
kya janiye kya kya choot gaya
ghabra ke nikal aayi bano
baysheer ka jhoola choot gaya
ashoor ko jalte...
noor aankhon ka akbar le ke gaye
nazron may andhera choot gaya
yun laash uthayi maula ne
barchi may kaleja choot gaya
ashoor ko jalte...
darya ke kanare mehmani
aur band hai kismat se pani
ay bahti maujon dekh to lo
baysheer bhi pyasa choot gaya
ashoor ko jalte…
islam ki nazrein dekh to le
emaan zara pehchaan to le
ye kaun hai bibi kufe may
ye kiska parda choot gaya
ashoor ko jalte...
saahil ke khareeb ghode se gire
abbas ko jalti khaak mili
shabbir ka daaman chut na saka
behta hua darya choot gaya
ashoor ko jalte...
ye paara paara laasha hai
shabbir ka jalti reti par
peshani e aalam jhukne ko
ya khaak pa kaaba choot gaya
ashoor ko jalte...
cheh maah ke bache ki himmat
anjaam se nazrein takrayi
honton par hasi lehrane lagi
baysheer ka rona choot gaya
ashoor ko jalte...
kya le ke gaye kya le jaate
bano ko nishani de ke gaye
ek khaali jhoola choot gaya
ek nanha sa kurta choot gaya
ashoor ko jalte...
ye fazl hussaini shayar ka
shabbir se bad kar koi nahi
maula ka bharosa jab se kiya
dunya ka sahara choot gaya
ashoor ko jalte...