Kanz e Aza

Ay Khuda Daste

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

yaad e abbas sare shaam e ghariban aayad

dukhtare hazrate shabbir hirasan aayad


bekasi kaisi ayan thi ban mein

laashe pamaal huwe jab ran mein

aag zehra ki lagi gulshan mein

yaad e abbas thi aur ahle haram

ay khuda daste karam ay khuda daste karam

ay khuda daste karam

shaam e ghariban shaam e ghariban


qasim o akbar o abbas kuja raftand aah

haaye dar dashte bala yaade shaheedan aayad

qasim o akbar o abbas nahi

kuch bhi seene mein bajus yaas nahi

ab to jeene ke bhi kuch aas nahi

saaya afgan nahi ghazi ka alam

ay khuda dast e karam...

shaam e ghariban...


yan kase neest ke aayad paye imdaad e haram

ee safeena tarafe yurishe toofan aayad

koi imdaad ko aaye kyun kar

kat gaye akbar o abbas ke sar

gham ka toofan hai aur yaad e padar

char jaanib se bade ranj o alam

ay khuda dast e karam...

shaam e ghariban...


sayli e shimr e ba rokhsar e sakina sad haif

chu ba zulm o sitam a dushman e emaan aayad

haye wo phool se rukhsar tere

shimr ne jis pe tamache maare

neel rukhsar ke dekhe na gaye

roya naize pe sar e shaahe umam

ay khuda dast e karam...

shaam e ghariban...


haif aan aalam e ghurbat ke sakina girya

yaade altaaf e padar ba gham o hirman aayad

dashte ghurbat mein sakina ki fughan

baba dassta hai andhera zindan

jald aao ke nikal jaaye na jaan

aap ki yaad mein mar jayenge hum

ay khuda dast e karam...

shaam e ghariban...


mi kashad naala ze hasrat sare darbar e yazeed

be muhabana khayale dar e zindan aayad

sar e darbar fughan zainab ki

qaid kufe mein hui binte ali

lahad e shaahe najaf hilne lagi

ashk zainab ke jo barse paiham

ay khuda dast e karam...

shaam e ghariban...


tohfa e ashq e azaa pesh konam mann ba khuloos

aah ee nauha e gham bar labe rehaan aayad

hai bhi kya sarwar o rehaan ke paas

inki daulat hai yehi gham ki asaas

aap ki nazr janab e abbas

ek awaaz hai aur ek qalam

ay khuda dast e karam...

shaam e ghariban...