ay sheer khaar asghar ay tashnalab sakina
hum nanhe zakiron ka pursa qubool karna
pani ko dono tarse maidan e karbala mein
dono rahe hamesha shabbir ki dua mein
bhai behan ka bistar shabbir ka tha seena
ay sheer khaar asghar...
dono ki gardano se dekha hai khoon jaari
rasssi ke ek galay mein ek teer se tha zakhmi
ek shaam ki musafir ek karbala ka pyasa
ay sheer khaar asghar...
ek noor e chashme maadar ek baap ka sapooti
na wo juda hua tha na ye juda hui thi
maa baap se qaza ne pardes mein cheena
ay sheer khaar asghar...
ek sheer khaar bacha ek naunehaal bachi
dono ne laaj rakhli mazloom e karbala ki
thukrake alqama ko pani piya qaza ka
ay sheer khaar asghar...
daaman jala behan ka bhai ka ban mein jhoola
bhai ne teer khaaya hamsheer ne tamacha
sughra se phir watan mein milne gaya koi na
ay sheer khaar asghar...
seene pe sone waali jhoole mein mein sona waala
sote hai khaak par ab shehzadi shaahzada
hum sab hussaini bache padte hai inka nauha
ay sheer khaar asghar...
ay asghar o sakina bachon ka hai ye waada
haathon se chote chote dete rahenge pursa
aansu ki hai sabeelien haazir lahoo hamara
ay sheer khaar asghar...
sajjad o hooria ki meesam ki nauhakhani
rehaan azmi ke lafzon ki tarjumani
ye zindagi hamari hai aap hi ka sadqa
ay sheer khaar asghar...