ay sheh ke alamdar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay zay ghame hyder, ay hyderi talwar alamdar
roti hai behan teri aa dekh mere ghazi
hai dard bhara manzar chadar bhi nahi sar par
hai majmae kuffaar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
ye khoon bhara parcham karta hai tera matam
qaimo se dhuwa utha ay bhai mere aaja
faujo ki hai yalghaar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
faryad meri sunlo darya se chale aao
tum de chuke qurbani dar kaari nahi paani
jeena huwa dushwar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
tum baazue sarwar thay shabbir ka lashkar thay
zainab ka bharosa thay bachon ka sahara thay
hoti hoo dilafgaar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
amma ka chaman ujda pardes mein ay bhaiya
mai dasht mein tanha hai char taraf aada
mar jaye na bemaar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
masoom sakina hai garmi ka mahina hai
do boondh nahi pani hone ko hai zindani
mehshar ke hai aasaar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
jhoole mein nahi asghar lori de kise maadar
darwaza e qaima par kehti hai wo ro ro kar
mai kisko karoo pyar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
bachon ko hoo mai royi keh sakta nahi koi
wo bhai ka sadqa thay bas is liye zinda thay
kya unse saropaar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
jaati hoo sare zindaan ay bhaai sare uriyan
bazu hai rasan basta purkhaar bahot rasta
nazron mein hai darbaar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
akbar ne sina khaayi mujko na ajal aayi
seena hua do-paara naizo se usay maara
mai uski hoo ghamkhaar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
mai laut ke aaungi marqad bhi banaungi
mai doongi kafan tujko mohlat de ajal mujko
ay mere wafadaar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...
rehaan kalam roya jab lik chuka ye nowha
majlis mein hua matam jab aaya tera parcham
rote thay azadaar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar...