Kanz e Aza

Ayuhal Badru Tamam

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

qaime se is tarha se laila ka chand nikla

tha arsh se zameen tak phaila hua ujaala

lab phol aankh jugnu aabroo hilaal jaise

zulfein se aah jaise kamli mein kamli waala

shabihe mustafa akbar jamaal e karbala akbar

jo dekhe wo pukar uthe rakhe tujhko khuda akbar

ayuhal badru tamaam


wo palkein aayaton jaisi wo quran ki tarha seena

wo hyder ki tarha baazu wo lehja mustafa jaisa

ali samjhun nabi kehdun kahun mai tujhko kya akbar

ayuhal badru tamaam...


wo kausar se dhule gaysu hilaal e eid se abroo

badan se chan ke aati thi rasool e pak ki khushboo

bana kar tujhko naazan tha mohamed ka khuda akbar

ayuhal badru tamaam...


zameen par paon rakhte thay falak ko rashk aata tha

falak ko dekh lete gar sitara jhoom jaata tha

sitaare maangte thay tere chahre se ziya akbar

ayuhal badru tamaam...


balayein maa liya karti phupi naad e ali padti

lage na nazre bad unko behan har dam dua karti

liya karti thi bose husn e yusuf ki ada akbar

ayuhal badru tamaam...


azan e subho ka manzar sar e karbobala kya tha

azan kya thi wo akbar ki nabi ka saaf lehja tha

kiya sadqa to mitti ban gayi khaak e shifa akbar

ayuhal badru tamaam...


sina seene pe jab khaayi sada shabbir ki aayi

ali akbar hui rukhsat meri aankhon se beenayi

tere marne se zainab ka kaleja phat gaya akbar

ayuhal badru tamaam...


jawani raas na aayi kaleje par sina khaayi

madine mein behan khush thi ke ghar aayega ab bhai

magar ye khwaab tha us ka jo poora na hua akbar

ayuhal badru tamaam...


tha armaan byaah ka dil mein lagayi khoon ki mehendi

kaha laila ne mayyat par rachayi kis tarha shaadi

jawan ho kar ye kaisa daagh maadar ko diya akbar

ayuhal badru tamaam...


ali akbar ka sadqa hai qalam rehaan kehta hai

wahan mai mohtaram tehra jahan majlis hai nauha hai

ab is izzat ke badle rab se maangun aur kya akbar

ayuhal badru tamaam...