ye waqia hai pas e qatle shaahe karbobala
koi na monis o ghamkhwar bibiyon ka raha
sukoot e sehra mein taapon ki goonj uthi sada
ali ki beti ne bad kar utha liya naiza
hisaar tod ke nazdeek aagaya sawaar
tadap ke saani e zehra pukar uthi ek baar
baba hyder baba hyder
aagayi shaam e ghariban baba
hum huwe be sar o saaman baba
laashein maqtal mein hai uryan baba
hai safar jaanib e zindan baba
laadli aap ki hai be-chadar
baba hyder...
bhai athara thay koi na raha
aap ki laadli ban mein tanha
khaak daale huwe sar pe baba
dekhiye karti hai ab aah o buka
haath rakhta nahi koi sar par
baba hyder...
sheh ki abbas kamar tod gaye
hum se pardes mein moo mod gaye
gham ke toofan mein hamay chod gaye
rishta har dukh se mera jod gaye
daagh seene ke dikhaun kyun kar
baba hyder...
mere akbar ka kaleja chalni
kar gayu naiza e khooli ki ani
tha jo hamshakle rasool e madani
us ke marne se jo is dil pe bani
kaise batlaye tumhe ye muztar
baba hyder...
chaaron jaanib se chale teer o tabar
hogaya tukde hassan ka dilbar
chunte thay laash ke tukde sarwar
kehte thay aao madad ko hyder
laash jo rond raha tha lashkar
baba hyder...
haath malti thi tumhari beti
jab churi aun o mohamed pe chali
godh khaali hui baba meri
khoon ka sailaab tha gham ki aandhi
aap ne kaise wo dekha manzar
baba hyder...
kat gaye baazu e abbas e jari
reh gayi bali sakina pyasi
khoon se qasim ne lagayi mehendi
maang ek shab ki dulhan ki ujdi
kya masayab thay jo toote hum par
baba hyder...
mar ke mashk na seene se hati
saath abbas ke maidan mein rahi
kehti ho jaise sakina pyasi
mashk ammu mai na yun loongi kabhi
layenge aap na jab tak bhar kar
baba hyder...
dekhiye ubhre wo sar naizon par
shimr durra liye aata hai idhar
kis khadar dard bhara hai manzar
tauq mein jakda sambhale langar
jaanib e shaam chala ek laaghar
baba hyder...
sun ke faryad o fughan zainab ki
ro ke kehne lage beti se ali
poch le ashk na ro ay beti
mai tere saath hoo ay kokh jali
jaunga saath tu jayegi jidhar
baba hyder...
jeeti tu haar gaye baani e shar
kat ke bhi ooncha hai shabbir ka sar
qabza abbas ka hai darya par
parchame deen hai teri chadar
tujhpe qurban meri pyari dukhtar
baba hyder...
majlis e gham mein ye aah o zaari
yun hi rehaan rahegi jaari
umr kat jaaye isi mein saari
maqsad e zeest hai matamdari
nauha mai likhta hoo bas ye keh kar
baba hyder...