Kanz e Aza

Bain Karti Thi Ye

A noha for Shaam e Ghareeba. Lyrics in Roman Urdu.

bain karti thi ye zainab ke bachao bhai

qaime jalte hai madad ke liye aao bhai


balwa e aam may beparda khadi hai zainab

binte zehra ko layeeno se bachao bhai

bain karti thi ye...


ghash may hai sayyede sajjad jale qaimon may

aake bemaar ko godhi may uthao bhai

bain karti thi ye...


tum to pehchan sakoge na hamari surat

apni surat hamay ek baar dikhao bhai

bain karti thi ye...


ab to akbar hai na qasim hai na bhai abbas

hai rasan basta haram inko chudao bhai

bain karti thi ye...


hai gala khushk sakina ka labon par dam hai

pani darya se isay laake pilao bhai

bain karti thi ye...


hichkiyan leke wo roti hai bulaati hai tumhe

apne seene pe sakina ko sulao bhai

bain karti thi ye...


qaid khane se ye zainab ki sada aati thi

apni beti ke janaze ko uthao bhai

bain karti thi ye...