chane lagi shaam e ghariban
haye qayamat ka hai samaan
qaima e sadaat se utha dhuan
dhal gaya din khatm ladaai hui
maut ki khamoshi hai chaayi hui
chak gareban khudaai hui
khaak basar fatema jaayi hui
larzi zameen kaamp utha aasman
haye qayamat ka hai samaan
chane lagi...
noor e nazar raj dulare gaye
zainab e dilgeer ke pyare gaye
shaah ke ansar bhi maare gaye
aas thi jin par wo sahare gaye
loot liya maut ne ye kaarwan
haye qayamat ka hai samaan
chane lagi...
khoon mein hai tar sher e jari ka alam
ho gaya shabbir ka sar bhi qalam
khushiyan manane lagi fauj e sitam
gham se taaba haal hai ahle haram
lut gayi kaunain ki shehzadiyan
haye qayamat ka hai samaan
chane lagi...
aun o mohamed nahi akbar nahi
qasim o abbas e dilawar nahi
haye koi monis o yawar nahi
qaima nahi maqna o chadar nahi
dasht mein hai aal e nabi be amaan
haye qayamat ka hai samaan
chane lagi...
madar e akbar ka ajab haal hai
deta hai jab koi tasalli usay
kehti hai dil thaam ke rote hue
kho gaye is ban mein sahare mere
mar gaya haye mera kadiyal jawan
haye qayamat ka hai samaan
chane lagi...
haye ye be-chaargi ye bekasi
deta nahi usko dilaasa koi
darmiyan laashon ke akele khadi
kehti hai bachi koi sehmi hui
dhoonde jaun tumhe baba kahan
haye qayamat ka hai samaan
chane lagi...
maa hoo har ek ranj uthaungi mai
rote hue khud chali jaungi mai
dhoond ke baysheer ko laaungi mai
uske bina jee nahi paungi mai
reh gaya haye mera bacha kahan
haye qayamat ka hai samaan
chane lagi...
hai ye gohar azmat e binte ali
sab ko sambhala bhi hifazat bhi ki
gham mein shahe deen ke bhi roti rahi
maamta pe aanch bhi aane na di
maa to hai bas aun o mohamed ki maa
haye qayamat ka hai samaan
chane lagi...