darya se koi jaa kar ghazi ko bula laye
aisa na ho ghurbat may ghar zehra ka lut jaye
ek baap zaeefi ke aalam may akela hai
aur sher se bete ke laashe ko uthaana hai
koi to sahara de lilaah koi aaye
darya se koi jaa kar...
rukh kar ke suye darya haathon se kamar thaame
akbar ke janaze par sheh kehte thay ro ro ke
kya baat hui ab tak abbas nahi aaye
darya se koi jaa kar...
hai laakhon adoo ran may aur sibte nabi tanha
zakhmi hai bahot zakhmi pyasa hai bahot pyasa
mazloom ki gardan par shamsheer na chal jaye
darya se koi jaa kar...
zainab ka jari bhai maara gaya maqtal may
ghabrayi hui behna insaano ke jangal may
ek ek se ro ro kar ye kehti rahi haye
darya se koi jaa kar...
mazloomo ke qaimo may ab gham ka basera hai
kal tak thi jahan raunak ab gehra andhera hai
shaam aagayi ghurbat ki tareek huwe saaye
darya se koi jaa kar...
sadaat ke qaimon ko hai ghere huwe shole
kehti hai nabi zaadi ghabrayi hui ro ke
ghar lut gaya is ban may chadar bhi na chin jaye
darya se koi jaa kar...
haalat hai ajab gohar masoom sakina ki
khoon behta hai kaano se lagte hai tamache bhi
naazon may pali bachi ro ro ke na mar jaye
darya se koi jaa kar...