Kanz e Aza

Ghame Sheh Mein

A noha written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

ghame sheh mein jo aankhon se rawan hai

wo aansu qeemat e baaghe jina hai


muqaddar hum bana lete hai jis se

kisi ke paas wo nuskha kahan hai

ghame sheh mein jo...


baghair e ultaf e aale mohamed

amal kya zindagi bhi rayegan hai

ghame sheh mein jo...


jise kaaba kaha karti hai dunya

abu taalib ke bete ka makan hai

ghame sheh mein jo...


saza e maut di baatil ko jis ne

wo ek cheh maah ka kanoon daan hai

ghame sheh mein jo...


jo hurr zinda raha hairaan kyun ho

dar e sheh par koi marta kahan hai

ghame sheh mein jo...


azaan goonji ali akbar ki ran mein

sada pur soz hai lehja jawan hai

ghame sheh mein jo...


jo hai mansoob akbar se jahan mein

namazon ki muhafiz wo azaan hai

ghame sheh mein jo...


ali akbar ka ye sadqa hai gohar

khuda ka deen jo ab tak jawan hai

ghame sheh mein jo...