ya fatema zehra ya umme abiha
sayyeda raaziya marziya
ghamzada quran zakhmi aaya e tatheer hai
darmiyan deewar o dar ke maadare shabbir hai
baad baba ke diya ummat ne ye kaisa sila
chain pal bhar bhi madine mein na zehra ko mila
kis khata pe fatema par haye ye ta'zeer hai
ghamzada quran...
hogaya pehlu shikasta bas tadapti reh gayi
phasliyon ke tootne se jaan aadhi reh gayi
ashk aankhon mein zuban par naara e tatheer hai
ghamzada quran...
rukh pe khatoone jina ke hai tamachon ke nishan
taaziyana yun laga ke haath uth'ta hi kahan
choor zakhmon se khuhdaya deen ki tauqeer hai
ghamzada quran...
ye sitam zehra pe yasrab mein hua itna shadeed
dar gira pehlu pe haye hogaye mohsin shaheed
ye sitam zehra ke dil par bakhuda ek teer hai
ghamzada quran...
is sitam ne sayyeda ko yun zaeefa kar diya
sin tha athara baras ka thi magar thaame asa
ye nabi ki laadli ya dard ki tasveer hai
ghamzada quran...
thi khadi darbar e haakim mein kayi ghante magar
keh nahi paaya magar afsos ye koi bashar
isko tadpana rasool e paak ki taqseer hai
ghamzada quran...
gham mial hai ye hassan ko aur shahe mazloom ko
kaun aa kar ab sambhale zainab o kulsoom ko
kohe nam se sar jhukaye shaahe khyber geer hai
ghamzada quran...
safdar o altaf khoon rone lagi roohe rasool
jab bi haye ya nabi keh kar bulaati thi batool
ye sada zehra ki haye dard ki tafseer hai
ghamzada quran...