ghar fatema zehra ka ajab shan ka ghar hai
ye wahi ki manzil hai ye quran ka ghar hai
islam ke maahol mein emaan ka ghar hai
momin ki munafiq ki ye pehchan ka ghar hai
kuch log mare jaate hai is ranjo mehan mein
is ghar ka jo darwaza hai masjid ke sehan mein
allah ne is ghar ko nabuwat se nawaza
dunya mein isay deen o shariyat se nawaza
qismat se imamat se wilayat se nawaza
har fard ko quran ki aayat se nawaza
saanche mein mashiyat ke ye afraad dhale hai
sab chadare tatheer ke saaye mein pale hai
ye azm ke faulaad isi ghar mein milenge
ye noor ke ajsaad isi ghar ay milenge
jibreel ke ustaad isi ghar mein milenge
is satha ke afraad isi ghar mein milenge
maqlooq ki baat aakhri sarhad nazar aaya
jis fard ko dekha wo mohamed nazar aaya
ashaab mukarram hai magar apni jagah par
ghair apni jagah laqte jigar apni jagah par
khaar apni jagah ghunchaye tar apni jagah par
sang apni jagah laal-o-gohar apni jagah par
pehlu mein jo baitha ho usay dil nahi kehte
rehro kabhi rehbare manzil nahi kehte
allah re izzo sharafe binte risalat
qandeele haram shamme shabistane imamat
rehmat jo mohamed hai to ye paraye rehmat
wo kulle nabuwat hai to ye juzze nabuwat
aasaan kaho maarifate khatme rasul ko
jo juz ko na samjha ho wo kya samjhega kul ko