Kanz e Aza

Ghurbate Batool

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Yasir Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

kahan batool ki ghurbat ko hum samajh paaye

hamari saans ruki aur na hum ghash khaaye


abhi bhi khaak e baqayya sadayein deti hai

khuda kare ke ye pehlu se khoon ruk jaaye

kahan batool ki ghurbat...


wo dar ke jis pe jhukate thay sar nabi apna

usi pe aaj musalman diye chale aaye

kahan batool ki ghurbat...


zaeef hogayi darbar jab gayi bibi

siyah sar mein safedi utar gayi haye

kahan batool ki ghurbat...


utha ke haath sitamgar ne kehkahan maara

hassan ke saamne zehra pe ye sitam dhaaye

kahan batool ki ghurbat...


phir ek waqt wo aaya ke kund khanjar se

rag e hussain pe bibi ne haath katwaye

kahan batool ki ghurbat...


ye gham batool ka sajjad se koi pooche

rida e zainabe muztar pe ashk barsaye

kahan batool ki ghurbat...


ghame imame zamana ko koi kya jaane

ke jiski maa ki lehad roz dhoop jhul saaye

kahan batool ki ghurbat...


bara e fatema zehra dua karo yasir

khuda kare ke zahoor e imam hojaye

kahan batool ki ghurbat...