haath pehlu se hataya nahi jaata baba
dard ne kar diya zahra ko zaeefa baba
meri tazeem na ki haath uthaya usne
saamne beton ke tu kehke bulaya usne
bhoolun kaise mai ummat ka rawayya baba
haath pehlu se hataya...
ab wo darbar kahan baba mere kaabil hai
mera qaatil bhi wohi hai jo tera qaatil hai
tere qaatil ne mujhe maara tamacha baba
haath pehlu se hataya...
ye na socha ke nabi aake jahan rukte thay
jahan hasnain o ali shaam o sehar jhukte thay
teri zahra pe wo darwaza giraya baba
haath pehlu se hataya...
rassi sartaj ki sheh rag ke karin roti hai
unki talwaar bhi ab zer e zameen roti hai
chup ke karte hai ali raat ko girya baba
haath pehlu se hataya...
dard itne hai ke saare mai sunaun kaise
zakhm aise hai ke hyder ko dikhaun kaise
saare zakmon ki gawah hai meri fizza baba
haath pehlu se hataya...
laashe abbas pe sadiq ye khulega uqda
ek hi abbas o mohsin ka qaatil hoga
dushmani hogi kahan is se zyada baba
haath pehlu se hataya...