Kanz e Aza

Haaye Fatima Zehra

A noha for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Haye Fatima zehra , Haye Fatima zehra

Uth'ta hai janaza ab maadare hasnain ka , Sab dete hai pursa , Haye Fatima zehra , Haye Fatima zehra

1) Ek lauthi jo beti thi Rasoole Anaam ki , Ummat ke zulm sehke wo dunya se chal basi , Aati hai bibiyo ki yeh rone ki ab sada , Ab kaun de pursa , Haye Fatima zehra , Haye Fatima zehra


2) Baba ke gham me royi tou rone nahi diya , Baitul huzun bhi dhaa diya kaisa gazab kiya , Kaisi hai Fatima pe masaib ki inteha , Ab kaun de pursa , Haye Fatima zehra , Haye Fatima zehra


3) Tazeem jiske dar ki kiya karte the Nabi , Darwaza bhi giraya wahi'n aag bhi lagi, Namoos e Mustafa ka bhi kuch paas na kiya , Ab kaun de pursa , Haye Fatima zehra , Haye Fatima zehra


4) Bibi masaib aapke kaise karu bayaa'n , Parde ki tarha gham rahe bibi ke sab neha , Khud apne dard o gham ka wo padti hai marsiya , Ab kaun de pursa , Haye Fatima zehra , Haye Fatima zehra


5) Baitusharaf me hoti hai takfeene Fatima , Gusl o kafan batool ko dete hai murtuza , Seh ha kiya hai dekh ke pehlu gazab hua , Ab kaun de pursa , Haye Fatima zehra , Haye Fatima zehra


6) Jabtak rahe hayaat yeh ankhei'n rahengi nam , Shahzadi gham me aapke matam karenge hum , Kis tarha humse hoyega matam ka haq aada , Ab kaun de pursa , Haye Fatima zehra , Haye Fatima zehra


7) Lo Fatima ka hota hai dunya se ab safar , Hasnain ke bayaan se chasme falak hai nam , Aate hai sar ko peet'te markhad se Mustafa , Ab kaun de pursa , Haye Fatima zehra , Haye Fatima zehra


8) Ab Fatima ka uthgaya saaya jahaan se , Shaq ho rahe hai Qalb o jigar is bayaan se , Hyder hai Ahlebait me ek hashr sa bapa , Ab kaun de pursa , Haye Fatima zehra , Haye Fatima zehra