Kanz e Aza

Haaye hassan askari

A noha for Imam Hassan (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Haye Hasan askeri , Haye Hasan askari……..2

Narjis ke laal tumpe yeh kaisa sitam hua, baba ko kisne aapke zehre daga diya, 1) Ek shor samere me hua wa musibata, haaye Imam hogaye ab humse bhi juda, hay hay yateem hogaye Mehdi gazab hua.

Narjis ke laal tumpe.....


2) noha kunaa'n hai Mehdi shahedee'n ki laash par

kaisa hua ye zulm dile beqaraash par

saaya pidar ka shaah ke sar par nahi raha

Narjis ke laal tumpe…… 3) Dekha jo apne baba ka dum toot'te hue, haaye Imam sina-o-sar peet'te rahe, hai shoor Askeri ke janaze pe bain ka.

Narjis ke laal tumpe…… 4) nikle lahad se khaaq basar syedul bashar, hai Fatima-o-Hydere karrar noha gar, is gham se haye sabka jigar chaak hogaya.

Narjis ke laal tumpe…… 5) Sab matami hai chaak garebaa'n kaye hue, Hyder ka noha sunte hai sar peet'te hue, aati hai Saamere se musalsil yahi sada.