Haye Hassan Mujtaba as Haye Hassan Mujtaba as. (2)
Hogai Tum Par Jafaa Haye Hassan Mujtaba as
1.Jaada Ne Kaisa Ghazab Dhaaya Hai Ye Aap Par.
Zehre Sitam Dediya, Haye Hassan Mujtaba as.
2.Zehre Dagha Ka Asar Aap Pe Aisa Huwa.
Tukde Jigar Hagaya, Haye Hassan Mujtaba as.
3.Rote Hain Behad Hussain as Karte Hain Rokar Ye Bain.
Haye Re Bhayya, Mera Haye Hassan Mujtaba as.
4.Teer E Jafaa Bhi Chale Aap Ke Taboot Par.
Zulm Ye Kaisa Huwa, Haye Hassan Mujtaba as.
5.Zainab E Dilgeer Bhi Rotee Hai Sar Peetkar.
Deti Hai Rokar Sada, Haye Hassan Mujtaba as.
6.Anjuman E Asghari Karti Hai Maatam Tera.
Karte Hain Aarif Bukaa, Haye Hassan Mujtaba as.
(Mohammed Ali Arif)