Dee'n Ki Pehchaa'n Mera Baba
Hai Mera Naam Sakina (sa)
kulle Imaa'n Mera Dada
Hai Mera Naam Sakina (sa)
mujhe Maaro Na Tamaacha
Hai Mera Naam Sakina (sa)
1. Rabbe Akbar Ki Shab O Roz Namazei'n Padhkar
apne Mabood Se Har Waqt Duayei'n Kar Kar
mujhe Shabbir (as) Ne Paaya
Hai Mera Naam Sakina (sa)
2. Naaz Bachpan Se Uthate Hain Chacha Jaan Mere
mujhko Godi Mein Khilaate Hain Chacha Jaan Mere
inke Baazu Mera Jhoola
Hai Mera Naam Sakina (sa)
3. Mere Munkir Mere Dushman Ko Bataado Khulkar
saniye Zehra (sa) Ka Us Waqt Sahaara Bankar
maine Islaam Bachaaya
Hai Mera Naam Sakina (sa)
4. Main Hoon Baba Ka Sukoo'n Mera Sukoo'n Hai Asghar. (as)
aye Azadaaro Meri Qabr Pa Aana Ho Agar
nouha Asghar (as) Ka Sunaana
Hai Mera Naam Sakina (sa)
5. Baad Baba Ke Yatimi Ne Sataaya Mujhko
shimr L.a Ne Maarke Durro Se Rulaaya Mujhko
maine Har Zulm Uthaaya
Hai Mera Naam Sakina (sa)
6. Humko Kaanto Pa Chalaya Gaya Sehrao'n Me
dard Sajjad (as) Ko Hota Tha Jo'nhi Chaalo Me
maine Kaanto Ko Nikaala
Hai Mera Naam Sakina (sa)
7. Imtehaa'n Leta Hai Ulfat Ka Meri Baniye Shar
kaha'n Darbaare Layee'n Aur Kaha'n Aapka Sar
aa Meri Goud Me Aaja
Hai Mera Naam Sakina (sa)
8. Waqte Aaqir Hai Mera Sunlo Wasiyat Bhayya
mere Laashe Ko Kisi Thandi Jagah Dafnaana
maine Paani Nahi Paaya
Hai Mera Naam Sakina (sa)
9. Asghari Jab Bhi Kahi Hogi Jo Majlis Meri
sath Dadi Ke Waha Mai Bhi Chali Aaongi
meri Taskeen Hai Pursa
Hai Mera Naam Sakina (sa)