baba ko sakina tere har gham ki khabar hai
naize ki ani par hai magar tujh pa nazar hai
takleef teri noore nazar dekh raha hoo
dekha nahi jaata hai magar dekh raha hoo
is gham se meri rooh talak khaak basar hai
baba ko sakina tere...
kaano se tapakte hai tere khoon ke khatre
ye dekh ke hota hai kaleja mera tukde
aansu nahi aankhon mein mera khoon e jigar hai
baba ko sakina tere...
mai dekh raha hoo teri gardan mein rasan ko
kya kya na aziyat hai tere gul se badan ko
ghabrake na mar jaye masayab se ye darr hai
baba ko sakina tere...
darbar mein khush hoke chali jaana sakina
baba ki qasam tujhko na ghabrana sakina
naize pe pareshan tere baap ka sar hai
baba ko sakina tere...
ab tere muqadar mein kahan shehr e madina
ay beti seekh le zindan mein jeena
ay lakhte jigar aaj se tera yehi ghar hai
baba ko sakina tere...
abbas ki sangat hai ye ehwale sakina
irfan bayan kaise kare haye sakina
dil hilta hai akhtar tere nauhe mein asar hai
baba ko sakina tere...