Kanz e Aza

Jaise Khwaja ne Kaha

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

alal elaan kaho sar e maidan kaho

hai hussain ibne ali deen ki jaan kaho


us namazi pe na ho kaise allah ko naaz

toote teeron pe ada ki hai maqtal mein namaz

haq hai uska jo ise haq ki pehchan kaho

alal elaan kaho sar e maidan kaho

jaise khwaja ne kaha deen panah ast hussain


pehno ehraam agar choomo kaabe ka ghilaf

jaake kaabe mein karo jab bhi kaabe ka tawaf

shukriya jaane ali hajj ke dauran kaho

alal elaan kaho...

jaise khwaja ne kaha...


ambiya kehne lage dekh ke is ki taraf

isne baksha hai hame sar faraazi ka sharaf

har shariyat ka yehi hai nigehban kaho

alal elaan kaho...

jaise khwaja ne kaha...


poocho kaabe se kabhi uske sajde ki chamak

roshni phail gayi saatwein arsh talak

arsh waalon pe bhi hai us ka ehsaan kaho

alal elaan kaho...

jaise khwaja ne kaha...


is liye chaaron taraf dhoom is naam ki hai

aaj bhi karbobala dhaal islam ki hai

baat insaaf ki hai sab musalman kaho

alal elaan kaho...

jaise khwaja ne kaha...


us ne muqtal mein rakhi lafze islam ki laaj

maut se isne kiya chadh ke naize pe khiraaj

roohe islam kaho jaane quran kaho

alal elaan kaho...

jaise khwaja ne kaha...


haq ki raahon mein fida apna ghar baar kiya

thak ke soya tha bashar usne bedaar kiya

mazhare zaate khuda hai ye insan kaho

alal elaan kaho...

jaise khwaja ne kaha...


aamir akhtar bakhuda ye na hota jo kahin

rakhta kis simt bashar apni sajde mein jabeen

jaane zehra pe hai ye jaan qurban kaho

alal elaan kaho...

jaise khwaja ne kaha...