Kanz e Aza

Laashe Qasim Pe Ye

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

laashe qasim pe ye kehte thay shehenshahe zaman

kaise le jaaun mai mayyat teri farzande hassan

tukde tukde hai badan


ranj qaime mein teri maa ko bada hai tera

phool sehre ke kahin jism pada hai tera

kitni bedardi se loota hai qiza ne chaman

tukde tukde hai badan

laashe qasim pe ye...


gham se phat'ta hai kaleja mai agar sabr karun

kaun se dil se teri laash ko chadar mein bharun

baith kar uthne nahi deti zaeefi ki thakan

tukde tukde hai badan

laashe qasim pe ye...


maut ne dasht mein kya haal kiya hai tera

jism bhi ghodon se pamaal kiya hai tera

tujhko dekhegi to mar jayegi ek shab ki dulhan

tukde tukde hai badan

laashe qasim pe ye...


kya guzarti hai mere dil pa bataun kaise

lassh bikhri hui maqtal se uthaun kaise

bhai ka haath batane ko chale aao hassan

tukde tukde hai badan

laashe qasim pe ye...


koi ummeed bhi maa ki na bachi ay qasim

tere haathon mein hina kaisi rachi ay qasim

lag gaya haste huwe chand ko maqtal mein grahan

tukde tukde hai badan

laashe qasim pe ye...


ek qayamat dil e bewa pa guzar jayegi

tere marne ki khabar sunte hi mar jayegi

isne kya kya na kiye thay tere shadi ke jatan

tukde tukde hai badan

laashe qasim pe ye...


kitne armaano bhare dil se sajaya tha tujhe

joda shadi ka samajh kar jo pinhaya tha tujhe

kya khabar thi wohi ban jayega maqtal mein kafan

tukde tukde hai badan

laashe qasim pe ye...


laashe qasim pa thay akhtar yehi shabbir ke bain

kis tarha ghusl o kafan de tujhe ghurbat mein hussain

sharm aati hai mere laal paraya hai watan

tukde tukde hai badan

laashe qasim pe ye...