aaja ne do ghaibat se waaris ko shaheedon ke
ud jayenge dunya mein khud hosh yazeedon ke
jab haath mein hyder ki wo talwaar uthayega
halqon mein yazeedon ke khoraam machayega
sab zulm ke mansoobe mitti mein miladega
ek waaris e hyder hai jo ghaib se aayega
dadi ka mazaar apne haaton se banayega
ek waaris e hyder hai jo ghaib se aayega
labbaik labbaik ya saahibaz zamaan
ek waaris e hyder hai jo ghaib se aayega
kya shay hai azadari dunya ko batayega
ek waaris e hyder...
kaabe se alam lekar is shaan se niklega
quran o imamat ka juzdaan se niklega
tauheed ke jalwon mein islam nahayega
labbaik labbaik...
ek waaris e hyder...
is sher ki aamad ka andaaz ajal hoga
ghazi ki nigahon mein hyder ka ghazab hoga
bhoole se koi bhi phir kaabe mein na aayega
labbaik labbaik...
ek waaris e hyder...
har dil mein ziarat ke armaan bade honge
isa bhi jama'at ki khwahish mein khade honge
jab apna musalla wo pani pe bichayega
labbaik labbaik...
ek waaris e hyder...
hamraah imamat ke abbas bhi aayenge
shabbir ke khadmon mein dunya ko jhukayenge
labbaik ya abbas labbaik ya abbas
saqqai ka mansab phir abbas sambhalenge
sadiyon ki ladaai ka armaan nikalenge
jab mashk e sakina wo parcham mein sajayega
labbaik ya abbas labbaik ya abbas
ek waaris e hyder...
socho to gunahgaron kya doge jawab usko
sadiyon ki khayanat ka lena hai hisaab usko
zehra ke luteron ko qabron se uthayega
labbaik labbaik...
ek waaris e hyder...
shabbir ki ek majlis kaabe mein bapa hogi
allah ke ghar mein bhi ye rasm ada hogi
khud farshe aza apne hi haathon se sajayega
kaabe mein sada goonjegi
hussain hussain hussain hussain
aflaak pe chamkega jab chand moharram ka
kaabe mein bhi ghul hoga shabbir ke matam ka
ja ran ke liye akhtar dunya mein tabaahi hai
hum ahle aza iske lashkar ke sipaahi hai
munkir hai jo iska jannat na jayega