mushkil mein hai hussain musibat mein hai hussain
baba madad ko aaiye mushkil mein hai hussain
barsa raha hai aag biyaban e karbala
akbar gire hai bar sare maidan e karbala
moo tak raha hai bete ka mehman e karbala
sharma raha hai booda pidar apne aap se
do ghoont pani maanga hai bete ne baap se
mushkil mein hai hussain...
baba madad ko aaiye...
taqdeer hai hussain ki ghurbat pe ashk baar
kadiyal jawan se sheh ki zaeefi hai sharm saar
akbar ne kuch hussain se maanga hai pehli bar
sharma raha hai booda pidar apne aap se
do ghoont pani maanga hai bete ne baap se
mushkil mein hai hussain...
baba madad ko aaiye...
ghurbat mein nabz e jaan ko rawani kahan se de
tu hi bata de yusuf e saani kahan se de
baba se jaan maang le pani kahan se de
sharma raha hai booda pidar apne aap se
do ghoont pani maanga hai bete ne baap se
mushkil mein hai hussain...
baba madad ko aaiye...
hai inteha hussain ke ranj o malaal ki
khwahish kahan se poori kare naunehaal ki
haalat hai ghair saaqi e kausar ke laal ki
sharma raha hai booda pidar apne aap se
do ghoont pani maanga hai bete ne baap se
mushkil mein hai hussain...
baba madad ko aaiye...
maqtal mein sar jhukaye hai tashna dahan hussain
akbar ko kaise shaad kare khastatan hussain
haathon ko mal raha hai ghareebul watan hussain
sharma raha hai booda pidar apne aap se
do ghoont pani maanga hai bete ne baap se
mushkil mein hai hussain...
baba madad ko aaiye...
noor e nazar ki pyaas se haalat ajeeb hai
abbas hi hai saath na darya khareeb hai
allah re hussain ka kaisa naseeb hai
sharma raha hai booda pidar apne aap se
do ghoont pani maanga hai bete ne baap se
mushkil mein hai hussain...
baba madad ko aaiye...
honton pe aisi pyaas hai kadiyal jawan ke
chubte hai dil mein baap ke kaante zaban ke
chehra dhuan dhuan hai to laale hai jaan ke
sharma raha hai booda pidar apne aap se
do ghoont pani maanga hai bete ne baap se
mushkil mein hai hussain...
baba madad ko aaiye...
kumla rahi hai pyaas gulaab e hayaat ko
be noor kar na jaye pisar kayenaat ki
hasrat se dekhti hai nigahein furaat ko
sharma raha hai booda pidar apne aap se
do ghoont pani maanga hai bete ne baap se
mushkil mein hai hussain...
baba madad ko aaiye...
bechainiyo ne ghera hai zehra ke chain ko
sadma bada hai aamir o akhtar hussain ko
pani si cheez de na saka noor e ain ko
sharma raha hai booda pidar apne aap se
do ghoont pani maanga hai bete ne baap se
mushkil mein hai hussain...
baba madad ko aaiye...