Kanz e Aza

Ummeede Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

umeedein abbas ki tooti

mashk se saara beh gayi pani

mashk se uljha teer sakina

haye teri taqdeer sakina


jo sab se mumtaz tha tujhko

jin shaano pa naaz tha tujhko

un pe chali shamsheer sakina

haye teri taqdeer sakina

mashk se uljha teer...

haye teri taqdeer...


maqtal mein tanhaai hai har soo

dil se laga kar bhai ke baazu

rote hai shabbir sakina

haye teri taqdeer sakina

mashk se uljha teer...

haye teri taqdeer...


kis mushkil se aaye hai baba

mask o alam ko laaye hai baba

khoon mein bhari tasveer sakina

haye teri taqdeer sakina

mashk se uljha teer...

haye teri taqdeer...


tera saqqa khoon mein nahaya

qaime tak pani nahi aaya

ki to bahot tatbeer sakina

haye teri taqdeer sakina

mashk se uljha teer...

haye teri taqdeer...


jab bhi alam abbas ka dekha

yaad aaya sookha mashkeeza

dil pe laga ek teer sakina

haye teri taqdeer sakina

mashk se uljha teer...

haye teri taqdeer...


bhaiya ko godhi mein uthaale

jaa qaime mein jaa ke chupale

rota hai baysheer sakina

haye teri taqdeer sakina

mashk se uljha teer...

haye teri taqdeer...


gir gaye baazu khaak pe kat kar

ab na chacha aayenge palat kar

hogayi ab taakheer sakina

haye teri taqdeer sakina

mashk se uljha teer...

haye teri taqdeer...


laaye hai sheh abbas ke baazu

rok sake to rok le aansu

manzil hai gambheer sakina

haye teri taqdeer sakina

mashk se uljha teer...

haye teri taqdeer...


aamir pursa sheh ko diya hai

nauha ye ashkon se kiya hai

akhtar ne tehreer sakina

haye teri taqdeer sakina

mashk se uljha teer...

haye teri taqdeer...