Ummul Bani Ka Dilbar Kaise Gira Zameen Par
Aada Ye Khe-Rahe The Kaise Ladoge Humse
Shane Nahi Bandan Par Bas Rhe-Gaya Tadapkar
Jab tak Thi Sanse Baqi Bas Justaju Yahi Thi
Pani Piladu Jakar bas Rhe-Gaya Tadapkar
Mashq-o-Alam Samhale Badte Hi Ja-rahe The
Har Simth The Sitamgar Bas Rhe-Gaya Tadapkar
Abbas Par Hi Chalte Charoun Taraf Se Bhale
Kya Dard Ka Tha Manzar Bas Rhe-Gaya Tadapkar
Abbas yuhi Leyte Phelu Me Shah-e-Deen Ke
Ankhein Lahoo Me Hai Tar Bas Rhe-Gaya Tadapkar
Khete The Ashkiyan Sab Shane Qalam Hue Jab
Nazrein Utha Utha-Kar Bas Rhe-Gaya Tadapkar
Shabbir Khe-rahe The Bhai Se Apne Milke
Kaise Jiye Baradar Bas rhe-GayaTadapkar
Hai Lasha Para-Para Abbas-e-Bawafa Ka
Dekhenge Kaise Sarwar Bas Rhe-Gaya Tadapkar
Zaqmo Ka Silsila Hai Dil Ki Ye Sada Hai
Pyasi Rahi Na Dilbar Bas Rhe-Gaya Tadapkar
Wo Bekasi Ke Lamhe Abbas-e-Bawafa Ke
Chalte Hai Dil Pe Qanjar Bas rhe-Gaya Tadapkar