Ye Chehlum Ho Raha Hai Ye Chehlum Ho Raha Hai
Jahan Sab Ro-Raha Hai Ye Chelum Ho-Raha Hai
Faza-e-Karbala Hai Jaha Matam Bapa Hai
Nasha Qabro Ke Harsu Bahut Zaqmi Hawa Hai
Muhafez Bibioun Ka Jo Saqqa-e-haram Tha
Kata Kar Dono Shane Wo Ghazi Sogaya Hai
Wo Doop Aur Umme Laila Hai Kaisa Sabr Maa Ka
Khuda Hi Janta Hai Sitam Kaisa Huwa Hai
Wo Bano Ka Dulara Kaha Hai Jhule Wala
Gale Par Teer Khakar Lahad Me So-Raha Hai
Pisar Ki Laash Bikhri Nazar Farwa Ki Zaqmi
Ye Bibi Kya Kare Ab Ke Beta Kho-Gaya Hai
Hai Ab Sakte Me Kubra Kare Wo Kaise Girya
Na Sehra Hai Na Mehendi Ke Dulha Mar Chuka Hai
Jo Pali Godh Ke The Wo Sab Maoun Se Bichde
Hai Har Bibi Tadapti Falak Bhi Ro-Raha Hai
Phupi Amma Ab Utho Watan Jana Hai Sab Ko
Ye Kehte The Jo Abed Ke Khaleq Ki Riza Hai
Ye Tha Zainab Ka Arma Hai Us Bibi Ka Ahsan
Ye Matam Arbayeen Ka Ussi Dil Ki Dua Hai
Ye Majlis Aur Ye Gham Azan Ka Farsh Matam
Na Bholenge Rasheed Ab Ye Zainab Ki Ata Hai