Kanz e Aza

ZAINAB MANANE AAYI HAI BHAI KA ARBAEE'N

A noha for Arbayeen, written by Syed Raza Moosavi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Karbobala me shaam e ghareeban ka hai sama

Baithi huwi hain khaak basar saari Bibiya'n

Bhai ke hai mazaar pa khwahar ki ye Fugha'n

Ham the sitam tha aur thi'n afwaaje ahle keen


Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee'n


Bazaar e Shaam aur who tamashaai allaman

Rukta tha har jaga pa aseeron ka karwaan

Ham sar khule the aur thi baazu me reesmaan

Tauq e giraa'n tha aur Mera Aabid e hazee'n


Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee'n


Laila ka haal Bibiyo'n me sab se ghair tha

Ek ek se kehti thi Mera Akbar kahan gaya

MainDhu'ndti hu'n koi bhi deta nahi'n pata

Naize liye huwe Usse ghere the kuch laeen


Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee'n


Abbas ka Wujood Hamara sahara tha

Nikla tha Teri simt wo saqqa Sakina ka

Kyun saahile furaat tu aage na aasaka

Ahle haram ke bain se hilne lagi zameen


Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee'n


Mehshar talak sanwaar di dono ne raah e haq

Baatil ka sar na uthega aisa diya sabaq

BhaiBahan Raza hain hidayat ke do waraq

Hai Karbala panaahe Muhabbat ki sarzamee'n


Zainab Manane Aayi Hai Bhai ka Arbaee'n