Zainab pa yateemi ki ghadi aagayi Baba
Bin Baap ki kehlaati hai Beti TeriBaba
Ammanahi'n Nana nahi'n ab Tum bhi sidhaare
Kis Mod pa le aayi hame zindagi Baba
Kitne hi yateemo'n ko diya Tum ne dilaasa
Ab hamko dilaasanahi'n deta koi Baba
Ab kaun hamein pyaar se paas apne bitHaay
Yaad aati hai shafqat ye hamein Aap ki Baba
Har Aan Teri yaad me rote hain Baradar
Zainab unhein kis tarha se samjhaegi Baba
Ek Aap ke dam se Mere jeene ka maza tha
Ab Mujh se zamane ne khushi chheenli Baba
Zakhmi huwa Sar Aap ka Allah ke ghar me
Raas Aap ko aayi na fiza Kufe ki Baba