bayan kaise ho kufe ka manzar
ye kehte honge jab beti se hyder
hamare baad aise bhi zamane aayenge zainab
isi kufe mein pathar tum ko maare jayenge zainab
galay unko laga kar pyar karna maa ki jaanib se
hamein dafna ke jab hasnain wapas aayenge zainab
hamare baad aise bhi...
tumhari maa ko bhi darbar mein logon ne bulwaya
tumhe bhi berida darbar mein bulwayenge zainab
hamare baad aise bhi...
ye kufa hai yahan ke logon ki nazrein badalti hai
abhi jo sheer laaye hai wo pathar layenge zainab
hamare baad aise bhi...
ali ne ghar mein ye paigham bhijwaya hai masjid se
na tum ghar se nikalna warna hum mar jayenge zainab
hamare baad aise bhi...
sitam hoga ke qabrein bhi na hongi paas qabron ke
madina karbala kufa mein hum bat jayenge zainab
hamare baad aise bhi...
tamache qatl e mohsin aur wo darbar ki peshi
ye saare dukh hum apni qabr mein le jayenge zainab
hamare baad aise bhi...
kaha hai hum ne kyun hasnain ke hote tumhe zainab
ye raaz hum hashr ke maidan mein batlayenge zainab
hamare baad aise bhi...
na ghabrana hamein awaaz dena saathwe dar par
tumhare saath mein darbar hum bhi jayenge zainab
hamare baad aise bhi...
takaluum kehke ye beti se ruqsat hogaye maula
hum ab shaam e ghariban tumse milne aayenge zainab
hamare baad aise bhi...