Kanz e Aza

Zulm Baad e Mustafa Sadaat Pey Kya Hogeya

A noha for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Zakhmi Masjid Mey Dukhi x2 Zainab Ka Baba Hogeya


Dhaurti Aati Thi Zainab Phir Rahi Thi Jaa Baja

Sani e Zahra Ke Dil Par x2 Hashr Barpa Hogeya


Momino Ansu Bahao Pursa Do Hasnain Ko x2

Aj Kufa Mey Qatal x2 Kabay Ka Kaba Hogeya


Ey Khuda Tujhko Mubarak Tera Ye Mah e Sayyam x 2

Jismey Zainab Lutgayi x2 Aur Deen Zinda Hogeya


Chotey Bachay Kya Karey Maula Tere Janay Ke Baad x2

Fatima Zahra Ka Ghar x2 Duniya Mey Tanha Hogeya


Zindagi Akthar Guzarey Bankey Tera Nohakhawn x2

Pak Bibi Ye Mera x2 Armaan Pura Hogeya