Zulm Huwa Ye Kaisa Qasim
Kahti Thi Madar Beta Qasim
Layi Hai mahendi bali sakina Nekh hai mangti bali sakina
Takti hai wo rasta Qasim Kahti thi madar beta Qasim
Hogi nahi phir aisi shadi Pyase hain jis main sasre barati
Ghark laho main nohsha Qasim Kahti thi madar beta Qasim
maidan ko jata hai dulha Tan par pehne sift ek kurta
Josh-e-vaiga main dooba Qasim Kahti thi madar beta Qasim
Dekhi nahi shadi ko aisi Bewa bani Dulhan lamho ki
Khoon main tar hai sehra Qasim Kahti thi madar beta Qasim
Terah baras ka sin wo tera Raas na aya tujh ko beta
Toota sitam ye kaisa Qasim Kahti thi madar beta Qasim
kaise uthaye lash ko sarwar Bikhra hai ran main qalb-e-shabbar
Haal huwa kya tera Qasim Kahti thi madar beta Qasim
jao masnat laake bichao Dulhan ko yana laake bithao
Aata hai ranse dulha Qasim Kehti thi madar beta Qasim
Aayi hai milne laash pa dulhan Askh rawan bhiga huwa daman
Dil ne pukara hoga Qasim Kahti thi madar beta Qasim
Bain kare kis tarha dulhan Askoun se sab tar hai daman Tan
main hai us ke sakta Qasim Kahti thi madar beta Qasim
kyun ye dekhe haal ye madar Ran se koi yun aaya na jakar Rooti
hai bakas farwa Qasim Kahti thi madar beta Qasim