ASHOOR KE HANGAM MEIN DULHA HAI DULHAN HAI
Pardes mein shaadi ki jo rasme huwe jaari
Kis shaan se aayi bane Qasim ki sawari
Moo dhanpe huwe apna dulhan karti hai zaari
Mai kiske sahare pa jiyungi kaho wari
Hangama-e-Mehshar huwa maidaan mein barpa
Paamal huwa ghodo se naushah ka laasha
Sin bara (12) baras ka tha bani hogayi bewa
Ab kisse kare apne muqaddar ka wo shikwa
Afsos ke shadi mein ajab gham ka asar hai
Is gham se har ek fard-e-bashar chaak jigar hai
Taqdeer mein dulhan ke qayamat ki saher hai
Aaghaz-e-Safar hi yaha Anjaam-e-Safar hai
Sandal ke a waz maang mein ab khaak bharoongi
Be maqna-o-chadar sare bazaar phiroongi
Ab tumhi kaho kya mai watan jake karoongi
Aye waaye muqaddar mai isi gham mein maroongi
De kaun dilasa koi gham khwaar nahi hai
Le koi khabar Akber-e-Jarrar nahi hai
Agha koi bewo ka tarafdaar nahi hai
Parde ka muhafiz wo Alamdar nahi hai