Kanz e Aza

Berida binte Ali hai Shaam ke darbar me

A noha for Darbaar e Shaam, recited by Anjuman e Hussaini (Imambada). Lyrics in Roman Urdu.

BERIDA BINTE ALI HAI SHAM KE DARBAR MEIN

ZINDAGI SEHMI HUWI HAI SHAM KE DARBAR MEIN

Sham ke darbar mein hai dekhiye Aal-e-Nabi

Bekaso ka poochne wala nahi hai koi bhi


Saqt aafat ki ghadi hai, sham ke darbar mein

Sab ke bazu hai bandhe aur hai sakina ka gala

Chhil chuki gardan rasan se khoon jari ho chuka

Inteha ye zulm ki hai, sham ke darbar mein


Ho kaha Abbas aao ye madad ki hai ghadi

Aake dekho to zara pyaasi bhatiji aapki

Apne panjo’n par khadi hai, sham ke darbar mein

Sham ki sab aurte baithi huwe parde mein hain


Kuch nahi aukaat jinki wo sabhi parde mein hain

Sar khule aal-e-nabi hai, shaam ke darbar mein

Karbala ta shaam kaanto par chalakar laye hain

Bekaso ko darbadar zalim phirakar laye hain


Behisi chhayi huwi hai, sham ke darbar mein

Karbala mein lut gaya yuin Fatima Zehra ka ghar

Rone wala tak nahi hai bekaso ke haal par

Bekasi khud ro rahi hai, sham ke darbaar mein


Ahlebait-e-Mustafa par zulm ki hai inteha

Tootne paata nahi hai ranj-o-gham ka silsila

Khud musibat ro rahi hai, sham ke darbar mein

Aye Hasan kehde ye jaakar Hazrat-e-Abbas se


Zainab-o-Kulsoom ki tooti huwi us yaas se

Muntazar imdaad ki hai, shaam ke darbar mein