berida hai rasool ki beti
aur bazaar e shaam aaya hai
koi durron se kar raha hai jafa
koi haste huwe rulaata hai
ro rahi hai hussain ki behne
apne baalon se moo chupaye huwe
haye kya bekasi ka aalam hai
sar pe chadar hai aur na saaya hai
berida hai rasool ki...
balwa e aam mein khadi zainab
de rahi hai sadayein ro ro kar
meri imdaad kar mere ghazi
ab qayamat ka waqt aaya hai
berida hai rasool ki...
bediyan ro ke bain karti hai
aa rahi hai sadayein matam ki
be-khata tauq aur salaasal mein
qaid yasrab ka shaahzada hai
berida hai rasool ki...
koi aa kar bacha lo bacchi ko
mar na jaaye hussain ki beti
neele rukhsaar hai tamachon se
aur kaano se khoon behta hai
berida hai rasool ki...
sabr karna hai deen bachana hai
kya kare phir hussain ka beta
sun ke faryad maa'on behno ki
sher sar ko jhukaye rota hai
berida hai rasool ki...
kis ka sar tum sina pe laaye ho
tum ko maaloom hai musalmano
roz padte ho jis ka kalma tum
us mohamed ka ye nawasa hai
berida hai rasool ki...
keh ke gohar hussain ke sar se
badi darbar ki taraf zainab
har sitam seh ke deen bachaungi
tujhse teri behan ka waada hai
berida hai rasool ki...