bhare darbar mein zainab ne sada di ghazi
teri khwahar ko kisi ne na rida di ghazi
bhare darbar mein...
karbala kya thi hai kya shaam ye mujhse poocho
sakhti har deesh e ayyam ye mujhse poocho
sola sau meel ne dunya hi mita di ghazi
bhare darbar mein...
haye baaghi ki behan kehke bulaya mujhko
kya bataun tujhe kis tarha sataya mujhko
yun mohamed ki nawasi ko saza di ghazi
bhare darbar mein...
aansuon ne likhi tehreer jale daaman par
dard hote gaye tasveer jale daaman par
aisi haalat hai sakina ki bana di ghazi
bhare darbar mein...
dekha jab khoon mein tar fatema jaaya maine
bhai ki laash pe tha khud ko giraya maine
maine allah ko ya tujhko sada di ghazi
bhare darbar mein...
tez khanjar se kahin tez hai nazron ki chuban
ab nishan daal chuki meri kalayi mein rasan
aane jaane ki na thi behan ye aadi ghazi
bhare darbar mein...
saikdon kursi nasheen baithe hai darbar mein dekh
teri khwahar hai ghiri majmeine aghyaar mein dekh
karbala shaamiyon ne shaam mein laa di ghazi
bhare darbar mein...
ghair ki nazron se zainab ko chupane ke liye
apni maajayi ka parda sa banane ke liye
nauke naiza se kehef sar ne sunaadi ghazi
bhare darbar mein...
maaf karna hai unhe ahsan o abid hai kahan
kal haqeeqat mein dhale aaj hai dono ka gumaan
kaash ho hashr mein ek ye bhi manadi ghazi
bhare darbar mein...