kitna mushkil waqt qaidi saarban par aagaya
khaafila lekar kahin se wo kahan par aagaya
sar utha kar usne poocha ye jagah hai kaunsi
haye lafze shaam ye kiski zuban par aagaya
kitna mushkil waqt...
noke naize pe sare sheh ne sunaya haale gham
hashr ka pal karbala ki daastan par aagaya
kitna mushkil waqt...
khaak sar mein paon mein chaale hai aankhon mein lahoo
dukh to saara natawan kadiyal jawan par aagaya
kitna mushkil waqt...
gul macha har ek jagah barpa qayamat hogayi
karbala ka haal kehta ye jahan par aagaya
kitna mushkil waqt...
rodiya bemaar ek dam karke baba ko salaam
saamne shabbir ka sar jab sina par aagaya
kitna mushkil waqt...
rab pe kya guzri qayamat rab ko hi maloom hai
jo huwa utha kahin wo aasman par aagaya
kitna mushkil waqt...
paak zehra ke chaman mein kab raha waqte bahaar
jaldi jaldi waqt wo waqte fiza par aagaya
kitna mushkil waqt...
dard ki tehreer abid likh ke ye karde tamaam
aqif har imtehan ek natawan par aagaya
kitna mushkil waqt...