Kanz e Aza

Kiya Bataon Darbar Main Zainab

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

Kiya Bataoun Darbaar Main Zainab

Kaise Sadme Utha Ke Ayee Hoon


Jo Sanad Leh ke Gaye Thi

Main Us Ke Tukroon Par

Qaid Teri Likha Ke Ayee Hoon


Bharay Darbaar Main Bhi

Usne Tauqeer Nah Ki

Khatmiye Mursal Ki

Jisne Masnad Hai Sambhali

Jahaan Waloon Ko

Uska Chehra Dekha Ke Ayee Hoon


Kaise Batalaoun Tumhay

Main Khari Roti Rahi

Aur Hastay The Sabhi

Har Sitam Jhel Ke Beti

Saqeefa Waloon Main

Main Wilayat Suna Ke Ayee Hoon


Mujko Bhulay Ga Nahi

Ke Sitamgaroon Ne

Mera Haq Cheen Liya

De Ke Darbaar Main Khutbe

Main Wahaan Batil Ke

Kaser Saaray Gira Ke Ayee Hoon


Intha Ho Hi Gaye

Main Gawa Deti Rahi

Aur Woh Jhutla Te Rahe

Kiya Bataoun Tumhe Beti

Main Ghar Main Anay Tak

Kitne Aansoon Baha Ke Ayee Hoon


Baap Ki Masnad Ka

Haal Dekha To Laga

Dekhli Karbobala

Tera Drabaar Main Jana

Main Apni Ankhoon Main

Meri Beti Sama Ke Ayee Hoon


Saath Betoon Ko Liye

Jis Ghari Binte Nabi

Ghar Main Pohhnchi Hogi

Kis Tarhaan Bibi Ne Ro Ke

Samar Kaha Hoga

Apna Wirsa Gawa Ke Ayee Hoon